Entry: Fresh - not so good ones :( Friday, June 05, 2009
"Roz manaoon khuda se ki ye chubhan kayam rahe.. Bina is dard ke dil ke hone ka kya saboot kayam hai..?"
- Swati
"Subah ki os ki har boond mein ek aansun kaid hai.. Phool ki har pankhuri mein ek ankaha dard kaid hai.. Bagh mein faili bhini khushboo mein bechaini kaid hai.. Is khubsurat manzar mein roz chandni se milne ki ek tamanna kaid hai.."
- Swati
"Khuda
kehta hai mujhse apna le is zindagi ko..
Jahan kehta hai mujhse apna le is berukhi ko..
Woh kehta hai mujhse apna le is dillagi ko..
Par dil kehta hai mujhse apna le is dil ki lagi ko.."
- Swati
"
Har lehar ek lehar ke aane ka intezaar..
Har dhadkan uski dhadkan ki hone ka aitbaar..
In lehron se seekha gham ko baha dene ka andaaz..
Har lehar ka doobna nayi lehar ka aagaaz"