Entry: Wafa aur Bewafai Monday, July 13, 2009



“Deewana hai who aashiq jo doob jaana chahta hai..

Parwanon ki tarah sham ape jal jaana chahta hai..

Dil lagana ho to saath chalna padta hai..

Janmon ka bandhan hai kyun chhoot jaana chahta hai!! ”

 

- Swati

 

“Naseebon ka khel hai kehte hain log..

Bus nahi is dil ka samajhte hain log..

Kya deewangi hai ye jise ishq kehte hain log..

Ek pal ke deedar ke liye mar mitte hain log”

 

- Swati

 

“Lo aaj us zaalim ne mere ghamon ko bhi cheen lene ki saajish ki hai..

Baarish ki in hazaar boondon mein meri aankhon se bahe paani ko chhupa dene ki koshish ki hai..

Mere ghamon ko apne paas rakh lene ki maine bhi unse guzarish ki hai..

Apne jahan ke banjarpan ko uski rehemdilli se bacha lene ki farmaish ki hai”

 

- Swati

 

“Khudgarz kehte hain who aaj humen jinki raahon mein hum dil jala baithe hain..
Bewafa kehte hain who aaj humen jinhe kooche mein unke jaate dekha hai..

Wafa maangte hain who aaj humse – jinki bewafai ke charche hum sar-e-aam sunte hain”

 

- Swati

   0 comments

Leave a Comment:

Name


Homepage (optional)


Comments